nise

nise

Wednesday, April 14, 2010

SMS

  • ~MaNa: ALLAH
    * . *.*. * . ** . *.*OPEN
    ** . *.*. * . * . * THE WINDOWS
    * .. * . * ..* * . *.*. * OF HEAVEN
    ¸.•´¸.•*´¨) ¸.•*¨) * . *.*LOOK TO ME
    (¸.•´ (¸.•` *.*.*.** . *.*. *AND ASK
    …*(¨`•.•´¨) .*.*.*.*.* * . *.*. *WHAT IS YOUR
    . * .`•.¸(¨`•.•´¨) * . * . * . * …*DREAM
    . * .*.. *`•.¸.•´* (¨`•.•´¨) * . *FOR
    * .. *..(¨`•.•´¨). *`•.¸.•´* . *TODAY?
    ..* … *`•.¸.•´ * *. * . * . * … *I
    * . * . * . . * . *.*. * . * . *ANSWERED
    ___00000___00000 *.*. * . * .. *ALLAH
    __0000000_0000000. * . * . *TAKE
    __0000 OOOO 00000. * . * . *CARE
    ___0000000000000 * . * . * . *OF
    ____00000000000 * . *. * . * .*PERSON
    ______0000000 * . *. * . * . * .. * . *.*THAT
    ________000 * . *. * . * … * . *.*IS
    _________0* . * .. ** .. * . *.*READING
    * . * .. ** .. * . * . * . * . *.*THIS
    .*(\ *** /) * . *.*.*TESTIMONIAL
    .* ( \(_)/ ) * * .BECAUSE
    .* (_ /|\ _) . *. * ThIS PERSON IS
    .* . /___\ * . . * . *SO
    *. * . * . * . . * *SPECIAL
  • NahiN gham mein baaki asar koi
    Mujhe laa ke de do zahar koi

    Kab aayegee ai meri maut tu!
    Mujhe bhej to de khabar koi

    Jarh (root) deemkoN kee ghiza bani
    KahiN gir rahaa hai shajar koi

    Na hai manzilon ka pataa mujhe
    Na hai rastoN kee khabar koi

    Ik sang huN sar-e-raah maiN
    Meri kyun karega fiqar koi

    Meri maut ab mujhe aa ke mil
    Mere dil meiN ab nahin dar koi

    Is dil ko royeN “Feroz” kyun
    Kya ujaD gaya hai shahar Koi?

  • mahsus kar mujhe tu, kabhi paas aa ke dekh
    mere jahan-e-dil meiN apna ghar basa ke dekh

    koi aisey ajnabi bhi nahiN is shahr ke log
    kuchh keh to ranj-o-gham ki, sab ko suna ke dekh

    hamshakl ho gaya hai mere gham ka, tera gham
    tu mere dil ko apna aayina bana ke dekh

    yeh farq dair-o-harm ka nazroN ka bharam hai
    tu deengah se apni, bahar to aa ke dekh

    jab ranjishoN meiN kat gayee, ab na fareb kar
    waqt aakhiree hai, ab na muskura ke dekh

    khamosh sun rahey haiN hum, sarghoshi-e-bahar
    aatey haiN apne gaaoN se jhoNkey hawa ke dekh

    maiN muNtzir huN roz-o-shab, aiy dard-e-do_jahan!
    be-dard, jab bhi waqt miley, aazma ke dekh

  • har khataa* meri hi khataa Thehri
    teri naraazgi bajaa** Thehri
    (*khataa=ghalati, **ba jaa=sahi jagha, durust)

    jab chala zikr-e-inteha yaaro
    baat mere junuN pe aa Thehri

    aarzu ka safar hai bas itna
    dil se uThi, zubaaN pe ja Thehri

    kyuN maiN umr-e-daraaz* ko maaNguN?
    kab duaoN se hai qazaa** Thehri
    (*lambi umr, **maut)

    chheen kar pairahan* darakhtoN ke
    ab dikhavey ko hai hawa Thehri
    (*kapdey, pehrawa(pattey))

    aag shahr-o-shahar rahi phirti
    aaj shahar-e-feroz aa Thehri

  • usi ka hai gham, paas jo kuchh nahiN hai
    mere paas aiye dosto kuchh nahiN hai

    hai jitna junuN, sara khooN meiN basaa hai
    mere sar meiN aiy pathro! kuchh nahiN hai

    gaya waqt sab kuchh uTha le gaya hai
    mere ghar meiN ab aaNdhiyo! kuchh nahiN hai

    zahar, sang, sooli, sazaa meiN miley haiN
    hua to kabhi ishq ko kuchh nahiN hai

  • jab ziNdgi karke kinaara guzar gayee
    fir zikr kyaa kareiN voh kahaaN kidhar gayee

    yeh to nahiN gilaa suNg maare raqeeb neiN
    dekha tujhe jo saath zaraa aaNkh bhar gayee

    chhupaana logoN se to naa mushkil kabhi huaa
    aa-i-na jab bolne lagaa meri zaat dar gayee

    chaahat ki raah pe mukaam roshan kiye bahut
    mohabbat wafa dosti na teri nazar gayee

    naam wafaa ka lekar jo detaa rahaa dagaa
    kyoN uske iNtzaar meiN tamanna thehar gayee

    kiski talaash thee na booNd abar per ruki
    sehra meiN jaa jali bahr-o-bahar gayee

    gaati thee “Ashk” akasar vo laRki teri ghazal
    kar soona maazi ki gali kis shaher gayee

  • aaj phir mazzar pe diyaa jalaa gayaa
    mujhko jagaakar jaane kahaN chalaa gayaa

    chhoRi Thee maine duniyaa sakooN se rahegaa vo
    aaNsoo giraa kabar pe mujhko rulaa gayaa

    aai kaash poochh saktaa us-se dil ka haal
    jaam-eN-vafaa meiN kayaa koi jafaa pilaa gayaa

    jab zindgi thee saaTh na de sakaa voh saaTh
    paThar se karke guftgoo rishtaa milaa gayaa

    voh paas mere kitnaa maiN kitnaa us-se door
    do zindgi meiN maut kaa aa khalaa gayaa

    zaahid na `Ashk’ ko ab to buraa kaho
    riNda khudaa ka Thaa khudaa ke chalaa gayaa

  • Waqt ki chaal se bekhabar ho gaye
    raat din umar ke youN basar ho gaye

    roshni se ulajh is kadar maiN gayaa
    aNdhere mere hamsafar ho gaye

    maNzil to khaRi Thi mere saamne
    magar raaste darguzar ho gaye

    kaarvaN se pataa pooChta maiN rahaa
    gardo.gubaar meri nazar ho gaye

    ASHK jannat gar nahiN yeh zamiN
    kisliye chaaNd taare shajar ho gaye

  • voh mera phenka hua khat uThaaya kisne
    soi hui Thi tamanna jagaaya kisne

    meiN to khud hi rakib apna banaa
    kayoN poochhte ki ghar jalaaya kisne

    guzar gaiee Thi ghaTa chhoR sahraa payaasa
    yeh barasta hua baadal bulaaya kisne

    rakhaie rahtaa Thaa mera gul seene se lagaa
    aaj khiRki se use giraaya kisne

    shammaaN se kahne lagaa jaltaa hua parvaana
    is treha karna jafaa sikhaaya kisne

    taRap uThi shammaN ai duniya walo suno
    khud jalaa parvaana mujhe jalaaya kisne

    Thaa jiska tasavvar kabse begaana hua
    dil ke pannoN pe voh chehra banaaya kisne

    hai mohabbat rab ki barkat nayaab
    fir yeh Taj Mahal daam lagaaya kisne

    poochhe rahta hai dil se zahan aksar
    banaaya jisne hameiN use banaaya kisne

    “Ashk” benaam Thaa gum apni duniyaaN meiN
    ai kazaa ghar ka pataa bataaya kisne

  • Kuch Din To Baso Meri Aankhon Mein
    Phir Khwab Agar Ho Jaao To Kya

    Koi Rang To Do Mere Chehre Ko
    Phir Zakhm Agar Mehkaao To Kya

    Jab Hum Hi Na Mehke Phir Sahib
    Tum Bad-E-Sbaa Kehlaao To Kya

    Ek Aaina Tha So Toot Gyaa
    Ab Khud Se Agar Sharmaao To Kya

    Mein Tanhaa Tha Mein Tanhaa Hoon
    Tum Aao To Kya Na Aao To Kya!

    Jab Dekhne Wala Koi Nahin
    Bujh Jaao To Kya Genaao To Kya

  • ~*~Tum Routh Jao Mujhse~*~
    ~*~Aisa Kabhi Na Kerna~*~
    ~*~Main Ek Nazar Ko Tarsoon~*~
    ~*~Aisa Kabhi Na Kerna~*~
    ~*~Main Pooch Pooch Haroon~*~
    ~*~So So Sawal Kar K~*~
    ~*~Tum Kuch Jawab Na Do~*~
    ~*~Aisa Kabhi Na Kerna~*~
    ~*~Mujhse Hi Mil K Hansna~*~
    ~*~Mujhse Hi Mil K Rona~*~
    ~*~Mujhse Bicher K Jee Lo~*~
    ~*~Aisa Kabhi Na Kerna~*~
    ~*~Tum Chand Ban K Rehna~*~
    ~*~Main Dekhta Rahoon Ga~*~
    ~*~Kisi Roz Tum Na Niklo~*~
    ~*~Aisa Kabhi Na Kerna~*~
    ~*~Tum Chalay Jao Jab Bhi~*~
    ~*~Tu Dekhoon Tumhara Rasta~*~
    ~*~Tum Loat K Na Aao~*~
    ~*~Aisa Kabhi Na Karna~*
  • “~*~Betaab Nazrain Yun Mili Iqraar Hum Karne Lage…~*~
    ~*~Ye Kiya Hua Kion Is Tarhaan Izhaar Hum Karne Lage…~*~

    ~*~Chalke Howe Jazbaat Kuch Ansoo Bhi Kuch Bikhre Howe…~*~
    ~*~Ab Qatra Qatra Zindagi Sarshaar Hum Karne Lage…~*~
    ~*~Shaadab Hain Ankhain Lahoo Se Kuch Gulabii Shaam Hai…~*~
    ~*~Quose-e-Qaza Rangoo Main Ghuftaar Hum Karne Lage…~*~

    ~*~Veeraan Kade Main Aa Gayee Jo Wo Baharoon Ki Tarhaan…~*~
    ~*~In Ke Tasawoor Se Sakhan Gulzar Hum Karne Lage…~*~

    ~*~Rahne Lage Hain Garizaan Go Tumhare Qarb Se…~*~
    ~*~Is Ehde Ulfat Se Ghazab Ka Pyaar Hum Karne Lage…~*~

    ~*~Shama Kyun Shikva Gila Ehle Wafa Theray Jo Hum…~*~
    ~*~Jalte huwe Sholoo Ka Dariyaa Paar Hum Karne Lage…~*~

  • Bikhar Rahi hy meri zaat usy kehna
    Kabhi milay tu yehe baat usy kehna
    Vo saath tha tu zamana tha hamsafar mera
    Mager ab koi nahi mery sath usy kehna
    Usy kehna k bin usky din nahi kattata
    Sisik sisik k kattati ha raat us kehna
    Usy pukaroon k khud hi pohanch jaon us k pass
    Nahi rahy vo halaat usy kehna
    Ager vo Phir be na lotay tu ay mehrban qasid
    Hamari zeest k halat usy kehna
    Her jeet us k naam kar raha hoon Main
    Main manta ho apni haar usy kehna
  • Apni Zindagi ki her Shaam Tere Naam kardoon,
    Teri hi Aankhon ka Jaam Tere Naam kardoon,
    Main Doob jaoon Teri in Jheel si Gehri Aankhon mai,
    Phir apni Barbadi ka ilzam Tere Naam kar doon,
    Mai apni Rooh ko Tere Wajood mai bhardoon,
    Phir apni Zaat apna her Payam Tere Naam kardoon,
    Tuu Mujhey Mohabbat ka Agaaz de Sanam,
    Mai Apne Pyaar ka Anjaam Tere Naam kardoon,
    Mohabbaton ke Qaseeday likhoon Teri Sanaa mai,
    Hazaron Pyaar ke Peghaam Tere Naam kardoon,
    Ho jiska Zikar Mohabbat ki her kahani mai,
    Ek aisa Pyaar ka Peghaam Tere Naam kardoon…
  • Pyaar kar ke jo wafa karte hain
    Aise kam log milaa karte hain
    Kyun woh khud hum se nahin keh dete
    Aur logon se gila karte hain
    Hum se milne ko wo ajaye kabhi

    Har gharri yeh hi dua karte hain
    Chahte hai unhe ji jaan se hum
    Bas yahi ek khatt karte hain
    Tum karam karo ya sitam karo hum gila hain kerty
    Khizaoon main phool yakinan khila nahin kerte
    Mila do khak main khiyal rahe itna
    Hum jaise log dubara mila nahin kerte
  • ( `•.¸•´¸.•*´¨)¸.•*´¨)
    ( `•.¸Innocent
    `•.¸ ) ¸.•)* Sincere
    (.•´) Cute
    `•.¸ ) ¸.•)*Decent
    ( `•.¸ Caring
    `•.¸ ) ¸.•)* Loving
    ¸.•)* Shy
    `•.¸ ) ¸.•)* Honest
    ( `•.¸ Friendly
    `•.¸ ) ¸.•)* Tolerant
    `•.¸ ) Intelligent
    `•.¸ ) ¸.•)* Emotional
    ( `•.¸Stubborn
    `•.¸ ) ¸.•)* Short-Tempered
    *´¨)* Confused
    `•.¸ ) «`’•. Compassionate
    ( `•.¸Fun Loving
    `•.¸ ) ¸.•)* Compromising
    ( `•.¸Talented
    `•.¸ ) ¸.•)* Noble
    (.•´) Ambitious
    `•.¸ ) ¸.•)* Good Listener
    `•.¸ ) «`’Simple
    ( `•.¸ Helpful
    `•.¸ ) ¸.•)*’ Good-Natured
    ( `•.¸ & Hard Working
    ( `•.¸•´¸.•*´¨)¸.•*´¨)

No comments:

Post a Comment