nise

nise

Wednesday, April 14, 2010

MOHSIN NAQVI

  • Aankhain khuli rahain gi toh manzar bih ayengai
    Zinda hai dil toh aur sitamgarr bhi ayengai

    Pehchaan lo tamaam faqeeron kay khadd-o-khaal
    Kuch log shab ko bhais badal kar bhi ayengai

    Gehri khamosh jheel kay paani ko yun na chaidh
    Cheenthay uday toh teri qaba par bhi ayengai

    Khud ko chhupa na sheesha garon ki dukhaan mai
    Sheeshay chamak rahey hain toh pathar bhi ayengai

    Aye shehr yaar dasht say fursat nahi — magar!!
    Niklay safar pay hum toh teray ghar bhi ayengai

    *Mohsin* abhi saba ki sakhawat pay khush na ho
    Jhonkay yehi basoorat-e-sarr sarr bhi ayengai…

  • Badla na teray bad b mozo-e-guftago”
    “Tu ja chuka hai phir b meri mehfalon mein hai
  • Qatl kabhi chuptay thay sang kee deevaar ke beech
    ab tou khulnay lagay maqtal bharay bazaar ke beech
  • Mein nay iss torr say chaha tujhy aksar jana
    Jesay mahtab ko bay-ant sumandar chahay
    Jesay soraj ki kiran seep k dil mein utray
    Jesay khushbo ko hawa rang say hatt kar chahay
  • Qatal chuptay thay kabi sang ki deewar k bech
    Ab to khulny lagy maqtal bhary bazar k beech

    Apni poshak k chin jany pe afsoos na kar
    Sar salamat nae rehty yahan dastar k bech

    Surkhian aman ki talqeen mein masroof rahen
    Haroof barod ugalty rahy akhbar k bech

    Kash iss khuwab ki tabeer ki mohlat na mily
    Sholy ugtay nazar aay mujhy gulzar k bech

    dhalty soraj ki tamazat nay bikhar kar dekha
    sar kasheeda mira saya saf-e-ashjar k bech

    Rizq, malbos, makaN, sans, marz, qarz, dawa
    Munqisem ho gya insaN inhe afkar k bech

    Dekhy jaty na thy aanso mry jis say Mohsin
    Aj hansty howy dekha usay aghyar k bech

  • KABI TU MOHEET-E-HAWAAS THA, SO NAHE RAHA
    MEIN TERY BAGHER UDAAS THA, SO NAHE RAHA

    MERI WUSATON KI HAWAS KA KHANA KHARAB HO
    MERA GAON SHEHR K PAS THA, SO NAHE RAHA

    TERI DASTARAS MEIN THEN BAKH’SHESHEN, SO NAHE RAHEN
    MRY LAB PE HARF-E-SPAAS THA, SO NAHE RAHA

    MRA AKS MUJH SAY ULAJH PARA TO GIRA KHULI
    KABI MEIN B CHEHRA SHANAS THA, SO NAHE RAHA

    MRY BAD NOHA BA LAB HAWAYEN KAHA KAREN
    WOH JO IK DAREEDA LIBAAS THA, SO NAHE RAHA

    MEIN SHIKASTA DIL HUN SAF-E-ADDO KI SHIKAST PER
    WOH JO LATF-E-KHOF-O-HIRAAS THA, SO NAHE RAHA
  • Kaash hum khul k zindagi kartay
    Umar guzri hai khud kushi kartay

    bijlian iss taraf nahi aaiin
    warna ham ghar main roshni kartay

    kaun dushman teri tarah ka tha
    aur ham kis say dosti kartay

    ishq ijrat talab na tha warna
    hum teray dar pay nokri kartay

    iss tamanna main ho gaye roswa
    hum b jee bhar k aashqi kartay

    hussn aus ka na khul saka muhsin
    thak gaye log shayeri kartay

  • zikr-e-shab-e-firaaq se vahashat use bhii thii
    merii tarah kisii se muhabbat use bhii thii

    mujh ko bhii shauq thaa naye cheharo.n kii diid kaa
    rastaa badal ke chalane kii aadat use bhii thii

    us raat der tak vo rahaa mahv-e-guftaguu
    masruuf mai.n bhii kam thaa faraaGat use bhii thii

    sunataa thaa vo bhii sab se puraanii kahaaniyaa.N
    taazaa rafaaqato.n kii zaruurat use bhii thii

    mujh se bichha.D ke shahar me.n ghul mil gayaa vo shaKhs
    haalaa.Nke shahar bhar se raqabat use bhii thii

    vo mujh se ba.Dh ke zabt kaa aadii thaa jii gayaa
    varnaa har ek saa.Ns qayaamat use bhii thii

  • KABI TU MOHEET-E-HAWAAS THA, SO NAHE RAHA
    MEIN TERY BAGHER UDAAS THA, SO NAHE RAHA

    MERI WUSATON KI HAWAS KA KHANA KHARAB HO
    MERA GAON SHEHR K PAS THA, SO NAHE RAHA

    TERI DASTARAS MEIN THEN BAKH’SHESHEN, SO NAHE RAHEN
    MRY LAB PE HARF-E-SPAAS THA, SO NAHE RAHA

    MRA AKS MUJH SAY ULAJH PARA TO GIRA KHULI
    KABI MEIN B CHEHRA SHANAS THA, SO NAHE RAHA

    MRY BAD NOHA BA LAB HAWAYEN KAHA KAREN
    WOH JO IK DAREEDA LIBAAS THA, SO NAHE RAHA

    MEIN SHIKASTA DIL HUN SAF-E-ADDO KI SHIKAST PER
    WOH JO LATF-E-KHOF-O-HIRAAS THA, SO NAHE RAHA
  • usnay jb jb b mujhy dil sy pukara Mohsin.
    mainy tb tb usay ye btaya k tumhara mohsin.
    log sadyyon ki khataon pr b khush bstay hain.
    hm ko lamhon ki wafaon ne ujara mohsin.
    jb agaya ye yakin k ab wo nahi aye ga.
    gm or answoun ny diya dil ko sahara mohsin.
    wo tha jb pas to jeenay ko b dil krta tha.
    ab to pal br b nahe hota hai guzara mohsin.
    usko pana to mukadar ki lakiron mei nahi shayd.
    uska khona b karen kaisay gawara mohsin
  • Maine usko salam likh bheja hai

    Haale dil tamam likh bheja hai

    Maine pucha tere hont kaise hain

    Usne ik lafz jaam likh bheja hai

    Maine pucha tere baal kaise hain

    Usne Qudrat ka inaam likh bheja hai

    Maine pucha kab hogi mulaqaat

    Usne qayamat ki shaam likh bheja hai

    Maine pucha intna tadapti kyun hai

    Us ne jawani ka inteqam likh bheja hai

    Maine pucha tere khadu khal kaise hain

    Usne husne tamam likh bheja hai

    Maine pucha tujhe nafrat kis cheez hai

    Usne Kambakhat Mera hi naam likh bheja hai

  • Itni muddat baad milay ho!
    Kin sochon mien gum phirtay ho?
    Itnay khaif kion rahtay ho?
    Her aahat say darr jatay ho
    Taiz hawaa nay mujh say poocha
    Rait per kia likhtay rahtay ho?
    Kaash koi hum say bhi poochay
    Raat gaye tak kion jagay ho?
    Mien darya say bhi darta hon
    Tum darya say bhi gahray ho
    Kaun si baat hai tum mien aisi
    Itnay achay kion lagtay ho?
    Peechay murr kar kion dekha tha
    Patthar ban kar kia taktay ho
    Jao jeet ka jashan manao
    Mien jhoota hon tum sachay ho
    Apnay shahar kay saray logon say
    Meri khatir kion uljhay ho
    Kahnay ko rahtay ho dil mien
    Phir bhi kitnay duur kharay ho
    Raat humien kuch yaad nahi tha
    Raat buhut hee yaad aye ho
    Hum say na poocho hijar kay qissay
    Apni kaho abb tum kaisay ho
    Faraz tum badnaam buhut ho
  • us py khul jati mery shouq ki shiddat sari;
    daikhy hoty jo mery paon k chhaly usny.

    jis ka her aib zamany sy chhupaya meny ,
    mery qissay sar.e.bazar uchhaly usny.

    jab usy meri muhabbat py bharosa hi na tha,
    kyun diye meri wafaon k hawaly usny.

    meri dum torti khahish ka khayal aa na saka,
    apny arman hamesha hi nikaly usny.

    aik mera hi to hath na thama usny,
    werna girty huye kitny hi sambhaly usny
  • s bar mery gaon k melay ki bheer main,

    Jo ghum hua who aik bhikaran ka lal tha,

    Tera furaq dil ki tabahi ruthon ka khuf,

    Mery liye yeh saal qeymaat ka saal tha,

    Darwaish ko talab thi Matai khalus ki,

    Makhlooq chup rahi k yeh mushkil sawal tha
  • Kon hota hai gareebi mein sahara Mohsin
    Shakh b sookhe hue patton ko gira deti hai

    Mohsin k khayalon mein utarti hai sar e sham
    Rim jhim ki tarha bandh k ghungru teri yaad

  • Badla na teray bad b mozo-e-guftago”
    “Tu ja chuka hai phir b meri mehfalon mein hai”
  • Kisi k ghum main wafa khona koi suny ga tu kiya kahy ga,

    Yeh uth k raton ko tera rona koi suny ga tu kiya kahy ga,

    Yeh zaamana charty shabab ka hy magar zamana both bora hy,

    Yeh jagna shab ko din ko suna koi suny ga tu kiya kahy ga,

    Dil main aya tu khub khela nazar se utra tu tor dala,

    Kisi ka dil b hy kiya khilona koi suny ga tu kiya kahy ga,

    Beach bhawar main tm muj ko chor dety ap per baat b na ati,

    Yeh tera sahil pe la dabona koi suny ga to kiya kahy ga,

    Kaha jo mainy daro khuda se kiya khudai ka dar nai hy,

    woh hans k boly chup raho na koi suny ga tu kiya kahy ga

  • chah kar bhi to bula na paiey gi mugh ko
    ishq jo mai tumhaiy itna kar jao ga
    dar hai tujay k rusvaia na milay mugh say
    is liaey mai hud say taraq-e-taluq mai kar jaon gaa
  • hur roz os k dil me koi jhankta b hai
    rab se hur ek dua me osy mangta b hai
    wo to abbas hosn ki masti me mast hai
    osay kiya khabar os ko koi chahta b hai

No comments:

Post a Comment